Wednesday, October 3, 2012

Khamakha ki zindagi

Khamakha ki zindagi

Jab chahe chalein aatein ho tum

Bina poochein, bina kahein

Khamakha ke bahane liye

Khamakha ki baatein banake 

---------------------------------

Le aatein ho khushiyan saari 

Pyaar bharein din

Aur shaamein baharon wali

Khamakha ke sapney sajake

Khamakha ke vaadein liye

---------------------------------------

Tumhare jaane ke baad

Taak ti raheti hain yeh nazarein

 saanjo saverein raah tumhari

Aasoonon ke pardein mein

Dundhali ho jaati hain aankhein humari

Khamakha ka rona hai yeh

Khamakha ki aahein

----------------------------------
Jab aana hoga aagoein

Humare bulane par kab aayein ho pehlein?

Umeed phir bhi kaayum humari 

Khamakha ki zidd hai yeh saari

----------------------------------

Khamakha ka pagalpan hai

Khamakhein ke shikwe

Khamakha ka dard hai yeh

Aur khamakha ki uljhanein

---------------------------------

Kyon ki bin tumharein 

Khamakha ka hai yeh jeena