Sunday, December 13, 2015

Adhoori Hasratein



Kuch hasratein reh jaati hai khali khali
Kayin khwab reh jaatein hai gumsum
Zindagi guzar jaati hai inhein paane mein
Aur yunhi aas lagaye jiye jaatein hain hum

Kabhi agar tahar ke socha hota
Toh joh paya hai usse sambhala hota
Sameta hota un adbhoot lamhon ko
Aur dafnaya hota na kaam sapno ko

Lekin insan ki fidrat mein theraav kahan?
Hasil karne ka junoon rehta hai sada
Rukja Rukja oh bhataktein musafir
Tu jo khoj raah hai woh milega nahin wahan

Woh toh hai tere andar, chupa hua, sahma hua,
Intezaar mein ke tu kab bichayega apni nazarein
Woh khushi hai jo rehti hai hum sab mein
Aur hum dhunde rehtein hai usse ek doosrein mein

Aaj hua hai yeh ahsaas, ki yeh kitna fisool hai
Kaash kal bhi yeh salaah yaad rahein...