Saturday, July 24, 2010

Tamanaa


Suljhi hui zindagi ki tamanaa hai,
uljhe huye sawaalon ke pehrein mein

Shaanti aur sukh ki khoj hai
ek bechain mann ke mele mein

Garam dhoop ki khawish hain
baarishon aur saridiyon ke mahino mein

Sookoon aur santosh ki chah hain
ek bheed se badi mehfil mein

Ghoomte ghoomte, chalte phirte
har roz ki zindagi jeete jeete

Kabhi muskurate, kabhi aasoon bahate
isi tarah, kisi mod pe kahin

Jab ilm na hoga, chah na hogi,
Jab hosh na hoga, talaash na hogi,
Jab aakhen dhoondna band kar lengi,

Tab,
achanak,
us ek lamhe mein,
Sab dikhega saaf,
aur phir na rahegi koi pyaas

Tab tak us pal ka hai intezaar
Lekin pehlein us pal ki tamanaa ko karna hoga faraar

Kyon ki jab dil mein nahin rehti hai woh aaas
Tab hi woh chahat khud chal kar aa jaati hai paas

1 comment: