Saturday, November 9, 2013

Yaad- a poem

Yeh kaisa aaj ka din guzra
Ki tumhein yaad karna bhool gayein
Kahan beh gaya yeh waqt ka dariya
Ki tumhara naam lena bhi na yaad raha

Guzartein din, guzarti raatein
Bhoolein geet, bhooli saugatein
Bhoolein woh lamhe, bhooli woh baatien
Pur phir bhi dhoondli si hai kuch yaadein

Ek tha woh zamana
Jab aati thi tumhari yaad
Ek tumhare aane se pehlein
Ek tumhare jaane ek baad

Lekin ab toh yeh aalam hai
Ki tumhari yaad hi nahin aati
Yaad tumhe zaroor karti
Agar kabhi bhool pati

2 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. Wow! Completely bowled over and speechless. Yet, can related to it completely.

    ReplyDelete