Ek nadi hai, ek bahar hai
Ek roshini ki pukar hai
Ek hai chavi sharmayi si
Ek hai saya sahema sa
Ek hai kahani ansooni
Ek hai nagma soona soona
Ek hai hasi khilkhilati hui
Ek hai umeed dabdabati hui
Ek hai rimjhim ka salona sawan
Ek hai kadakti dhoop ka alaam
Ek hai sooraj cham chamata
Aur kayin hai tarein jhilmilatein
Unhi taaron men kya ek ho tum?
Yaan raat ki tanhayi me kaid ho tum?
Bus itni ki khabar hain humein
Ki ab dekh na paayenge hum tumhein
Nahin kar payeinge woh chulbuli baatein
Nahin baant payeinge gum bhari saugatein
Kaash humare paas hotein chan aur pal
Kaash humne guzarein hotein kuch aur lamhein
Ab in moothibhari yaadon ko kitna sametein?
Tumhare saath inhe dafna bhi nahin saktein
Yeh rahengi humare zehn mein sada
Bus ab hum sirf keh saktein hain alvida
Alvida eh farista, alvida
No comments:
Post a Comment