Friday, March 10, 2017

Aapke Baad- Ek kavita

Jis subah aapko yaad nahin karenge
Jis shaam aapka naam nahin lenge
Us din se hoga yeh ahsaas
Ki aap nahin hain ab humare aas paas

Lekin tab tak kya karein yeh dil?
Kaise savrein? Kaise sambhlein?
Kaise yaad karein woh pyaar bhari nazarein?
Kaise bhoolayen woh guhm bharein nagme?

Humari rooh mein aap ho samaye
Humare zehn mein ho sada shamil
Har ek nagme mein hai aapki yaad
Har ek saans karti hai yeh farman

Ki aapki kahani na kabhi ho khatam
Aapki ghazalon mein doobe har mehfil
Aapki muskarahaton ka no ho koi qatil

Pur ab hum toot se gayein hain
Ab toh ijazzat de do
Chalo jaon, aur le jaon
Apni kahaniyan, apni ghazalein, apni muskurahatein

Chod do humein tanha
Aapke bina jeene ki aadat dalne do
Aakhir, saayon ke saath nahin guzarti yeh zindagi



No comments:

Post a Comment