Kaafi choti thi main, jab ‘choti si kahani’ suna tha
Tape recprder hote they us zamane mein
Aur ‘rewind’ button bahut istamal hota tha
1988 ka saal tha, aur Aamir Khan ne meri zindagi mein kadam rakha
Lekin tab bhi…aur ab bhi… ‘papa kehte hain’ se zyada achcha
‘mera kuch samaan’ lagta tha
Filmein jo thi meri padaish ke pehlein ki
Lekin choo jaati mukhe kuch aise
Jaise, mujhse salah karke kahani sajayi ho
1973 ki ‘Aandhi, 1982 mein ‘Angoor’
Ek ne aise rula diya, dooji kabhi sakte nahin bhool
Bambai mein ghar khojne ki takleef
Sirf ‘Do deewane shahar mein’ aur Gulzarji hi shabdon mein utar sakte
‘Tum he ho na ho, mujhko to, itna yakeen hai’ jaise bol
Jo ek dil ki kashmakash ko bayaan karte hain
Unke siwa aur kaun likh sakta hai?
Umar thi dus, jab ‘tujhse naaraz nahin zindagi’
Aur us bachche ki masoom aakhon ne mujhe chua tha
‘Dil toh bachcha hai ji’..27 saal kyon na guzarein ho?
Kis ne socha tha ki ‘chaddi aur phool’,
aur ‘beedi’ aur ‘jigar’ ek hi vakaya mein rehkar
Itne achche lag saktein hain?
Tab samundar ki leheron ka shor hota tha
Aur kuch kuch traffic ki awaaz
Mere kamre mein jhoole pe behetkar
Sunti thi main Gulzar saab ke saaz
Tere bina zindagi se shikwa toh zaroor hoti
Kyonki meri zindagi Gulzarji ke bina kuch kum hoti
No comments:
Post a Comment