Monday, December 24, 2012

Intezaar

Dhoop mein chav si
March ke mahino ki bahaar si
Dard mein marham si
Sardiyon mein kambal si

Thi tum aise meri zindagi mein
Hasa thi, sehala ti thi
Khoob mujhe behalati thi
Roothta tha, tum manati thi
Bin maangein, bahut kuch de jaati thi

Pur us samay mujhe chah thi
Khule aasman ki baahon ki
Rangeen raaton ki muskurahaton ki
Tumhari panahein lagti thi bandish
Tumse door rehne ki hoti thi khawish

Ab itni door ho tum mujhse
Ki fursat toh hain
Lekin usse bharne ka saamaan nahin
Haseen mehfilein toh hain
Pur unke ghazalon ki mujhe pehchan nahin

Umeed karta hoon tumhare lautne ki
Tumhari god mein sar rakhke letne ki
Tumhare hothon ko halke se choone ki
Tumhare haathon ko kaske pakadne ki

Himmat nagin hoti magar,
Tumhe bulane ki
Agar tum kar dogi inkaar
Toot jaaonga, bikhar jaaonga

Ab sirf is baat ka hai sahara
Ki shaayad kisi din tum ho jaaogi phir se meri
Aur mein tumhara

Tak tak hai intezaar
Aur abhi tumse hai bahut pyaar
 

No comments:

Post a Comment