Thandi hawa ke jhokno ke saath
Ek halki si chaah hai woh laati hai haath
Ek alag sa hara rang bichate huye
Apni baahon mein rimzhim tarane leheratein huye
Sunheri yaadon ki muskaan sajate huye
Baadolon ko apne sang ghoomatein huye
Laati hai apne saath
Un khushiyon ki saugat
Un armanon ki baraat
Un muskarahaton ki yaad
Jab tum they jawaan
Aur hum they haseen
Jab nazron mein they sapne
Aur dil mein yakeen
Jab haathon mein they haath
Aur door door tak ka tha saath
Jab bheeg jaane mein tha mazaa
Aur botol ke bahar hota tha nasha
Jab asmaan mein udhne ki thi khawish
Aur dil mein thi zara si khalish
Jab paas rehkar bhi lagti thi doori
Aur door rehna tha ek majboori
Ab bhi yeh baarish hai utni hi khaas
Aur dil ko hota hai yeh ehsaas
Shayad yeh baarish choo legi tumhein
Kuch jis tarah chooha tha usne humein
Yaad karoge humein tum baarish ki bahane
Aur humari yaadon ko rakhoge apne sirhane
Haath badake boodon ko pakadoge
Aakhen moondein palakon par rakhoge
Woh hi baarish hai, woh hi zameen
Pur ab hum hain kahin, aur tum ho kahin
Wow, amazing !!! i've just started reading your blog and look forward to reading the rest of your posts.
ReplyDelete